Hum Wo Nahi Jo Tujhe Gham
Mein Chhor De
Hum Wo Nahi Jo
Tujhse Nata Tod De
Hum Tere Wo
Dost Hain Ki Agar Teri
Sashein Rukk
Jayen To Apni Sanse Jod De
Nigahein Aapki Pehchan Hai
Hamari
Mushkurahat
Aapki Shaan Hai Hamari
Rakhna Hifazat
Se Aapne Aapko
Kyunki Dosti
Aapki Jaan Hai Hamari
Pyar Itna Karo Ki Usme Koi
Had Na Ho
Bharosa Itna
Karo Ki Usme Koi Shaq Na Ho
Intezar Itna
Karo Ki Usme Koi Waqt Na Ho
Aur Dosti Itni
Karo Ki Usme koi Nafrat Na Ho
Hasne Walon Ko Kabhi Rulaya
Nahi Jata
Lehron Se Paani
Ko Hataya Nahi Jata
Hone Wale Ho
Jate Hain Khud Hi Apne
Kisi Ko Kehkar
Dost Banaya Nahi Jata
Dosti Ki Judai Ka Gham Na
Karna
Dur Raho To Bhi
Dosti Kam Na Karna
Agar Milen
Zindagi Ke Kisi Mod Par Hum
Tum Humein
Dekhkar Aankhein Band Na Karna
Phool Jaise Doston Se Bhi
Kya Dosti Karna
Kuch Pal Ke
Baad Wo Murjha Jate Hain
Dosti Karni Hai
To Hum jaise Kaanton Se Karo
Jo Chubne Ke
Baad Bhi Yaad Aate Hain
Bin Saavan Barsat Nahi
Hoti
Suraj Dube Bina
Raat Nahi Hoti
Kya Karein Ab
kuch Aisi Halat Hai
Teri Yaad Aaye
Bina Din Ki Shuruwat Nahi Hoti
Hum To Dosti Ka Farz Yuhi
Nibhate Rahenge
Waqat Bewaqat
Aapko Yaad Karte Rahenge
Dua Maango
Hamari Maut Ki Aap
Warna Zinda
Rahe To Yun Hi Satate Rahenge
Khuda Ki Ibadat Se Dost
Milte Hain
Uski Rehmat Se
Hum Dosti Nibhate Hain
Nahi Chahte
Hain Hum Koi Dost Khona
Isliye Kisi
Khaas Ko Hi Dost Banate Hain
Kabhi Mere Dard Ka Ehsaas
Kar Lena
Mat Nibhao
Dosti Magar Vishwas Kar Lena
Mat Dena Toofan
Mein Saath Mera
Magar Kinare Pe
To Mera Intezar Kar Lena
Kahi Andhera To Kahin Sham
Hogi
Meri Har Khushi
Aapke Hi Naam Hogi
Kuch Mang Ke To
Dekho Dost
Hothon Pe Hashi
Aur Hatheli Pe Jaan Hogi
Zaruri Nahi Ki Saari Dunia
Achi Nikle
Zaruri Nahi Ki
Saari Logg Achhe Nikle
Meri Kismat
Dusri Kalam Se Likhi Hai
Tabhi To Mere
Saare Dost Achhe Nikle
Dosti Mein Dunia Khubsurat
Lagti Hai
Dard Mein Dunia
Dushman Lagti Hai
Aap Jaisa Dost
Zindagi Mein Na Ho To
Paani Ki Boond
Bhi Zeher Lagti Hai
Khuda Se Ek Fariyad Baki
Hai
Dosti Zinda Hai
Kyunki Yaad Baaki Hai
Maut Aaye To
Kahenge Laut Jaye
Kyunki Abhi
Kisi Khaas Se Mulakat Baaki Hai
Tinke Tufan Mein Bikharte
Chale Gaye
Tanhai
Gehraiyon Mein Utarte Chale Gaye
Jannat Thi Har
Shaam Jin Doston Ke Saath
Ek-Ek Karke Sab
Bichadte Chale Gaye
Dil Ki Zarurat Har Jaan Ko
Hoti Hai
Taron Ki
Zarurat Har Aasman Ko Hoti Hai
Tamanna Hai
Salamat Rahe Aap Sada
Achhi Dosti Ki
Zarurat Har Insan Ko Hoti Hai
kabhi Ruthkar kabhi
Manaakar
Kabhi Hansakar
Kabhi Rulakar
Teri Dosti Ne
Shikhaya Hai
Har Pal Jeena
Sirf Muskurakar
Hum Dosti Par Ek Kitaab
Likhenge
Doston Ke Saath
Guzari Har Baat Likhenge
Jab Batana Ho
Dost Kaise Hote Hain
Aapko Soch Kar
Har Baat Likhenge
Ruthe Jo Zindagi To Mana
Lenge Hum
Mile Jo Gham
Uuse Bhi Bhula Denge Hum
Bas Aap Dosti
Nibhate Rehna
Aansuo Ko
Muskurana Sikha Denge Hum
Har Khushi Dilke Karib Nahi
Hoti
Zindagi Ghamo
Se Durr Nahi Hoti
Aye Dost Ess
Dosti Ko Sanjokar Rakhna
Aisi Dosti Har
Kisiko Nasib Nahi Hoti
Dushmano Mein Dost Mila
Karte Hain
Kaaton Mein
Phool Khila Karte Hain
Humko Kaanta
Samajhkar Chhod Na Dena
Kante Hi Phool
Ki Hifazat Kiya Karte Hain
Hum Khamosh Thay To Majbur
Samajh Liya
Chup Hue To
Magrur Samajh Liya
Yehi Galti Ho
Gayi Ki Humne Yaad Nahi Kiya
Dost Aapne
Humein Apne Se Dur Samajh Liya
Doston Ki Bin Zindagi
Fizool Hain
Par Dosti Ke
Bhi Usool Hain
Kehte Hain
Milti Hai Dosti Mein Bhi Taklifein
Par Aap Ho Dost
To Sab Kabool Hai
Ek Pal Ki Ye Baat
Nahi
Do Pal Ka Ye
Saath Nahi
Zindagi Ek
Safar Si Ban Gayi Hai Mere Liye
Par Wo Safar
Kya Jisme Dost Ka Saath Nahi
Dosti Phool Nahi Jo Murjha
Jaye
Dosti Mausam
Nahi Jo Badal Jaye
Dosti Dhadkan
Hai Jo Chale To Sab Kuch Hai
Aur Na Chale To
Kuch Bhi Nahi Hai
Meri Dosti Ka Andaza Na
Laga Paoge
Khud Ko Bhul
Jaoge Hume Na Bhula Paoge
Ek Baar Humse
Juda Ho Kar To Dekho
Kasam Tumhari
Jeena Bhul Jaoge
Dost Hazar Nahi Sirf Ek
Chahiye
Sukh Dukh Mein
De Saath Wo Yaar Chahiye
Hum Kisi Ko
Bhulate Nahi
Yaad Rakhe
Humein Wo Yaar Chahiye
Aapka Aashiyana Dil Mein
Basaya Hai
Aapki Yaadon Ko
Seene Se Lagaya Hai
Pata Nahi Yaad
Aapki Hi Kyun Aati Hai
Dost To Humne
Auron Ko Bhi Banaya Hai
Phool Bankar Muskurana
Zindagi Hai
Muskurake Gham
Bhulana Zindagi Hai
Milkar Logg
Khush Hote Hain To Kya Hua
Bina Mile Dosti
Nibhana Bhi Zindagi Hai
Aaj Ek Pal Khubsurat
Hai
Dil Mein Sirf
Dosti Ki Surat Hai
Kuch Bhi Kahe
Ye Dunia
Dunia Se Zyada
Humein Dosti Ki Zarurat Hai
shayaritab.in-The No.1 Site In India For Beautiful,Meaningful & Interesting Shayaries By Ghulam Yazdani